Lafz & Saaz Ek baithak, shayari, kavitayein aur nazmon ke naam - 1
ibasho

Lafz & Saaz Ek baithak, shayari, kavitayein aur nazmon ke naam

Ibasho

Hosted By

Ibasho

About this event

Kuch alfaaz hote hain, jo hum likh toh lete hain,
magar kabhi kisi ko suna nahi paate...

Kuch sher hote hain, jo kisi ki yaad dila dete hain,
aur kuch nazmein, jo anjaanon ko bhi apna bana deti hain.

Toh socha, kyun na ek aisi mehfil sajayi jaaye,
jahaan koi apni shayari laaye,
koi apne khayaal,
aur koi bas ek dil se nikli hui daad.

Jahaan alfaazon ki potli bhi khulegi,
sher ka jawaab sher se milega,
aur beech-beech mein kuch sur bhi chhidenge.

Apne alfaaz lekar aaiyega...
Hissa banne ke liye DM karein.

Choose Date(s)1 date

Select one or more dates you want to attend.

↑ Select at least one date to continue